The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
aapke bheege hue jism se aaNch aati hai dil ko garmaati hai, jazbaat ko bhaDkaati hai aapke paas jo aayegaa, pighal jaayegaa is haraarat se jo uljhegaa, vo jal jaayegaa aapkaa husn vo shabnam hai jo sholoN mein pale garm KhushbuoN mein tapte hue raNgoN mein Dhale kiskaa dil hai jo sambhaale se sambhal jaayegaa honTh hain yaa kisi shaayar ki duaaoN kaa javaab zulf hain yaa kisi saavan ke talabgaar kaa Khvaab aise jalvoN ko jo dekhegaa machal jaayegaa is qadar husn zamaane mein na dekhaa na sunaa uskaa kyaa kahnaa jise aapne hamraaz chunaa uskii taqdeer kaa inaam badal jaayegaa