The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
ai phool hans ke baagh mein kaliyaaN khilaaye jaa shabnam ke ashq apni hansi mein chhupaaye jaa jeene kaa Dhang sikhaaye jaa kaanTon ki nok par khaDaa muskuraaye jaa jeene kaa Dhang sikhaaye jaa... bhanvare ne tere kaan mein kuchh gungunaa diyaa -2 ye kah ke raaz-e-zindagi tujhko bataa diyaa -2 rote hue jahaaN mein tu muskuraaye jaa, tu muskuraaye jaa jeene kaa Dhang sikhaaye jaa... bulbul ki sadaaon mein bhi paighaam yahi hai -2 koyal ki bhi har kook subah shaam yahi hai -2 o hanste hue phool tere husn ke sadqay patjhaD mein kyaa kare koi itnaa bataaye jaa jeene kaa Dhang sikhaaye jaa...