Browse Lyrics by Movie Title


Hindi Song Lyrics of Bahaaron Ki Duniya Pukaare Tu Aaja

LAILA MAJNU (1953) Movie Songs Lyrics
Bahaaron Ki Duniya Pukaare Tu Aaja Lyrics
Hindi Song Title: Bahaaron Ki Duniya Pukaare Tu Aaja : LAILA MAJNU (1953)
Singer(s): AASHA & TALAT
Cast(s): SHAMMI KAPOOR , NUTAN , ULHAS , BEGUM PARA , RATAN KUMAR



Hindi Lyrics:
Talat: Aa Jaa, Aa Jaa
(Bahaaron Ki Duniya Pukaare Tu Aa Jaa) - 2
Tere Muntazir Hain Sitaare Tu Aa Jaa
Bahaaron Ki Duniya

Talat: Sadaa Khush Rahe Tu, Bhula Dene Vaale
Dua De Rahe Hain, Dua Dene Vaale
Dua Dene Vaale
Meri Zindagi Ke Sahaare Tu Aa Jaa
Bahaaron Ki Duniya

[ Bahaaron Ki Duniya Song Lyrics @ http://www.hindilyrix.com ]

Aasha: Asire-E-Qafas Hun, Zabaan Par Hai Naale
Zabaan Par Hain Naale
Hamaari Muhabbat Khuda Ke Havaale
Khuda Ke Havaale
Kare Dur Se Dil Ishaare Tu Aa Jaa

Talat: Khayaalon Ke Daaman Men Gham Aa Gaya Hai
Gham Aa Gaya Hai
Chali Aa Ke Aankhon Men Dam Aa Gaya Hai
Dam Aa Gaya Hai
Pareshaan Hain Tujh Bin Nazaare Tu Aa Jaa
Bahaaron Ki Duniya

Aasha: Terii Yaad Shaam-O-Sehar Jaagati Hai
Sehar Jaagati Hai
Naseeba Hai Soya, Nazar Jaagati Hai
Nazar Jaagati Hai
Khushi Banake Dil Men Hamaare Tu Aa Jaa
Dil-E-Muntazir Men Hain, Sitaare Tu Aa Jaa
Talat: Bahaaron Ki Duniya Pukaare Tu Aa Jaa
Bahaaron Ki Duniya

[ Bahaaron Ki Duniya Song Lyrics @ http://www.hindilyrix.com ]

This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Bahaaron Ki Duniya Pukaare Tu Aaja from the Bollywood movie LAILA MAJNU (1953). We tried to make Bahaaron Ki Duniya Pukaare Tu Aaja Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Bahaaron Ki Duniya Pukaare Tu Aaja Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.

Advertise on Hindi Lyrix.com