The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
"Saakiya baat yeh meri dil-e-maikhwaar mein rakh Saakiya baat yeh meri dil-e-maikhwaar mein rakh Ek takhti pe yeh likh ke kisi baazaar mein rakh Mar jaoon to mitti se meri eent bana Aur us eent ko maikhaney ki deewar mein rakh Vakt banjara hai jab laad chalega ek din Dekh lena ke yahi ho ke rahega ek din Meri mitti ko bhi dhaalega koi kuzagar Toot kar mera badan jaam banega ek din Toot kar mera badan jaam banega ek din" Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai Na jane khaake-maikhaana mein kis ka dil dhadakta hai Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai Hamarey dil ka koi zakhm hai ya dhyaan hai uska Hamarey dil ka koi zakhm hai ya dhyaan hai uska Na jaane kaun hai ghar mein ke saara ghar mehakta hai Na jaane kaun hai ghar mein ke saara ghar mehakta hai Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai Nahin maaloom kya rishta hai paimane se aankhon ka Nahin maaloom kya rishta hai paimane se aankhon ka Chalak padti hai aankhein jab bhi paimana Chalakta hai Chalak padti hai aankhein jab bhi paimana Chalakta hai Na jane khaake-maikhaana mein kis ka dil dhadakta hai Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai Dil-e-betaab to kab hua khamosh ro rokar Dil-e-betaab to kab hua khamosh ro rokar To phir yeh kaun mujh mein chup ke raaton ko sisakta hai To phir yeh kaun mujh mein chup ke raaton ko sisakta hai Na jane khaake-maikhaana mein kis ka dil dhadakta hai Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai