Browse Lyrics by Movie Title


Hindi Song Lyrics of C A T Cat Mane Billi

DILLI KA THUG Movie Songs Lyrics
C A T Cat Mane Billi Lyrics
Hindi Song Title: C A T Cat Mane Billi : DILLI KA THUG
Singer(s): KISHORE KUMAR, ASHA BHOSLE
Cast(s): MADAN PURI , KISHORE KUMAR , NUTAN , SMRITI BISWAS , IFTIKHAR



Hindi Lyrics:
C.A.T. Cat, Cat Maane Billi, R.A.T. Rat, Rat Maane Choohaa
Arrey Dil Hai Tere Panje Mein To Kyaa Huaa
M.A.D. Mad, Mad Maane Paagal, B.O.Y. Boy, Boy Maane Ladkaa
(Arrey Matlab Iskaa Tum Kaho To Kyaa Huaa) - 2
(Aaa Aaa Aaa Aa) - 2

[ C A T Cat Mane Song Lyrics @ http://www.hindilyrix.com ]

(Ari Baanvri Tu Ban Jaa Meri, Zaraa Sun Main Kyaa Kahtaa Hoon
Zaraa Dekh Idhar Tujhe Hai Khabar, Tu Hai Kaun Aur Main Kyaa Hoon) - 2
G.O.A.T. Goat, Goat Maane Bakri, L.I.O.N. Lion, Lion Maane Sher
Arrey Dil Hai Tere Panje Mein To Kyaa Huaa
M.A.D. Mad, Mad Maane Paagal, B.O.Y. Boy, Boy Maane Ladkaa
Arrey Matlab Iskaa Tum Kaho To Kyaa Huaa

(Lage Taakne Kabhi Aapne, Shishaa Leke Moonh Dekhaa Bhi
Tumhi Ik Nahin Jahaan Mein Hasin, Na Hogaa Koi Ham Saa Bhi) - 2
N.O.S.E. Nose, Nose Maane Naak, C.R.O.W. Crow, Crow Maane Kauvaa
Arrey Matlab Iskaa Tum Kaho To Kyaa Huaa
Hun Hunhun, C.A.T. Cat, Cat Maane Billi, R.A.T. Rat, Rat Maane Choohaa
Arrey Dil Hai Tere Panje Mein To Kyaa Huaa
(Aaa Aaa Aaa Aa) -2

Milaa Le Nazar O Jaan-E-Jigar, Teraa Kyaa Karegi Duniyaa
Jahaan Se Daro Ye Sochaa Karo, Hamen Kyaa Kahegi Duniyaa
Arrey Milaa Le Nazar O Jaan-E-Jigar, Teraa Kyaa Karegi Duniyaa
Jahaan Se Daro Ye Sochaa Karo, Hamen Kyaa Kahegi Duniyaa
B.A.D. Bad, Bad Maane Buraa, B.U.T. But, But Maane Lekin
Arrey Dil Hai Tere Panje Mein To Kyaa Huaa
M.A.D. Mad, Mad Maane Paagal, B.O.Y. Boy, Boy Maane Ladkaa
Arrey Matlab Iskaa Tum Kaho To Kyaa Huaa

[ C A T Cat Mane Song Lyrics @ http://www.hindilyrix.com ]

This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song C A T Cat Mane Billi from the Bollywood movie DILLI KA THUG. We tried to make C A T Cat Mane Billi Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for C A T Cat Mane Billi Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.

Advertise on Hindi Lyrix.com