Browse Lyrics by Movie Title


Hindi Song Lyrics of Chalo Bulawa Aaya Hain

AVTAAR Movie Songs Lyrics
Chalo Bulawa Aaya Hain Lyrics
Hindi Song Title: Chalo Bulawa Aaya Hain : AVTAAR
Singer(s): ASHA BHOSLE, CHANCHAL, MAHENDRA KAPOOR



Hindi Lyrics:
maata jinko yaad kare woh log nirale hote hai
maata jinka naam pukare kismat wale hote hai
chalo bulawa aaya hai maata ne bulaya hai - 2
chalo bulawa aaya hain - 2 maata ne bulaya hain
jai maata di
chalo bulawa aaya hain maata ne bulaya hain
ho... unnchhe parvat pe raani maa ne darbaar lagaya hai
chalo bulawa aaya hain maata ne bulaya hain
jai maata di
chalo bulawa aaya hain maata ne bulaya hain

saare jag mein ek thikana saare gam ke maaro ka - 2
ho.. 
rastaa dekh rahi hai maata apani aankh ke taaron ka - 2
ho.. 
mast hawaon ka ek jhonka yeh sandesaa laaya hai
chalo bulawa aaya hain maata ne bulaya hain
jai maata di - 3
kehte jaaon
jai maata di - 3
kehte jaaon
jai maata di - 2 kehte jaao aane jaane walon ko
chalte jaaon tum mat dekho apne paaon ke chhalon ko - 2
ho..
jisne jitna dard saha hai utna chain bhi paaya hai
chalo bulawa aaya hai maata ne bulaya hai
jai maata di

vaishno devi ke mandir mein - 2
log muraaden paate hai
(woh rote rote aate hain
hanste hanste jaate hain) - 2
ho..
main bhi maang ke dekhu 
jisne jo maanga woh paaya hain
chalo bulawa aaya hai maata ne bulaya hai
jai maata di

(main bhi toh ek maa hu maata
maa hi maa ko pehchane ) - 2
bete ka dukh kya hota hai aur koi yeh kya jaane
ho 
uska khoon main dekhu kaise jisko dudh pilaya hain
ho chalo bulawa aaya hai maata ne bulaya hai - 2

chalo bulawa aaya hai maata ne bulaya hai - 5
toh prem se bolo
jai maata di
saare bolo
jai maata di - 3
vaishno raani
jai maata di
ham pe kalyani
jai maata di
maa bholi bhali
jai maata di
maa shero wali
jai maata di
jholi bhar deti
jai maata di
samkat har leti
jai maata di
jai maata di.....

This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Chalo Bulawa Aaya Hain from the Bollywood movie AVTAAR. We tried to make Chalo Bulawa Aaya Hain Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Chalo Bulawa Aaya Hain Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.

Advertise on Hindi Lyrix.com