The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
khote na hon jo hosh unhe ghar bulaa ke pee yaa phir buton ko saamne, apne biTha ke pee behad naa pee, naa bol bahut, josh mein naa aa ruk ruk ke pee, sukoon se pee, sar jhukaa ke pee daulat hai faqat chaar dinon ki pee le izzat hai faqat chaar dinon ki pee le hai waqt shab-o-roz tabaahi ki taraf mohlat hai faqat chaar dinon ki pee le chalo pee lein ke yaar aaye naa aaye ye mausam baar baar, aaye naa aaye gulaabon ki tarah tum taazaa rahnaa zamaane mein bahaar aaye naa aaye ye sochaa hai ki usko bhool jaayen ab is dil ko qaraar aaye naa aaye "zameer" is zindagi se kyun Khafaa ho ise phir tumpe pyaar aaye na aaye