Browse Lyrics by Movie Title


Hindi Song Lyrics of Chandan Kaa Palanaa

SHABAB Movie Songs Lyrics
Chandan Kaa Palanaa Lyrics
Hindi Song Title: Chandan Kaa Palanaa : SHABAB
Singer(s): HEMANT, LATA



Hindi Lyrics:
sangit hai shakti ishwar ki har sur mein base hain raam
raagi ko sunaaye raag madhur, rogi ko mile aaraam

ho
chandan kaa palanaa resham ki dori
jhuulaa jhulaauun nindiyaa ko tori
chandan kaa palanaa  

so jaa tuu aise mori sajaniyaa
so jaa tuu aise mori sajaniyaa
sajiyaa pe soye jaise dulhaniyaa
chandaa kaa tikaa maathe lagaauun
taaron ki maalaa tujhako pahanaauun
taaron ki maalaa tujhako pahanaauun
tohe sulaauun gaa gaa ke lori
jhuulaa jhuulaauun nindiyaa ko tori
chandan kaa palanaa  


uunche gagan se koi bulaaye
laayin hain pariyaan dolaa sajaaye
sajan se milane duur chali jaa
udake tuu nindiyaa phurr chali jaa
udake tuu nindiyaa phurr chali jaa
chandaa pukaare aajaa chakori
jhuulaa jhuulaauun nindiyaa ko tori
chandan kaa palanaa

This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Chandan Kaa Palanaa from the Bollywood movie SHABAB. We tried to make Chandan Kaa Palanaa Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Chandan Kaa Palanaa Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.

Advertise on Hindi Lyrix.com