The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
Lata: chhuppaa chhuppi, o chhuppi, aagad baagad jaai re chuuhe maamaa, o maamaa, bhaag, billi aayi re chorus: chhuppaa chhuppi, o chhuppi, aagad baagad jaai re chuuhe maamaa, o maamaa, bhaag, billi aayi re mannaa: billi boli myaanv kaahe ghabaraao main to chali kaashi gale mil jaao Lata: o chhuppaa chhuppi chorus: lallalalla lallallaa mannaa: bam bam bam bam bamabam bam myaanv Lata: mat ham ko banaa ari mausi tere dil mein zaruur hai kaalaa chorus: mat ham ko banaa ari mausi tere dil mein zaruur hai kaalaa Lata: kisi aur ko dikhalaa jaake ye jog ye kanthi maalaa chorus: kisi aur ko dikhalaa jaake ye jog ye kanthi maalaa mannaa: raam kaa naam lo aankh se kaam lo raam kaa naam lo aankh se kaam lo kal jo huaa thaa bhuul jaao bhuul jaao Lata: chhuppaa chhuppi mannaa: main to raam ki jogan apanaa paralok sudhaaran jaauun aakir to budhaapaa thaharaa ab laut ke aauun na aauun Lata: daant bhi tez tere panje bhi tez hain daant bhi tez tere panje bhi tez hain man mein wahi hai daav lage to lagaao Lata: chhuppaa chhuppi