Hindi Song Lyrics of Chup Zamin Aasamaan, Kah Sake Na Ye Zubaan
DO DOST Movie Songs LyricsChup Zamin Aasamaan, Kah Sake Na Ye Zubaan Lyrics Hindi Song Title: Chup Zamin Aasamaan, Kah Sake Na Ye Zubaan : DO DOST
Singer(s): MANNA DE, CHORUS
Hindi Lyrics:
chup zamin aasamaan, kah sake na ye zubaan dil hilaanevaali do doston ki daastaan ruup donon ka samaan, do sharir ek jaan ye dukhi to vo dukhi, vo dukhi to ye dukhi ek rang pyaar tha, sang kaarovaar tha do dilon ko ek dusare pe aitabaar tha rahate vo karib the, par bade garib the videsh mein ho laakhon, unake aise kuchh nasib the dil ko dil se jod ke, ghar se mukhada mod ke dhan kamaane ke liye chale vatan ko chhod ke chup zamin aasamaan log chhal kapat nihaaye (?), sukh mein dukhade bhar diye chaandi ke chaand tukadon ne, dilon ke tukade kar diye sach ko jhuuth ne thaga, ?? ka agan jaga pith pichhe var kar dost ne diya daga dost ne diya daga, dost ne diya daga diya daga, diya daga chup zamin aasamaan pashchataap ki aag lagi to, vahi dharam phir jaaga anyaai insaan ke dil ka, paap nikal ke bhaaga jhuuth ka bharam khula, satya ka diya jala josh jaan ki jagi, bura bhi ban gaya bhala dono dost mil gaye, dil ke phuul khil gaye pyaar ke jo taar band the, vo phir se hil gaye kat gayi vo dushmani, dosti ke vaar se pichhale paap mit gaye aansuon ke dhaar se chup zamin aasamaan, kah sake na ye zubaan dil hilaanevaali do doston ki daastaan
This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Chup Zamin Aasamaan, Kah Sake Na Ye Zubaan from the Bollywood movie DO DOST. We tried to make Chup Zamin Aasamaan, Kah Sake Na Ye Zubaan Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Chup Zamin Aasamaan, Kah Sake Na Ye Zubaan Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.