Hindi Song Lyrics of Ganga Meri
TUMSE ACHHA KAUN HAI Movie Songs LyricsGanga Meri Lyrics Hindi Song Title: Ganga Meri : TUMSE ACHHA KAUN HAI
Singer(s): MOHAMMAD RAFI
Hindi Lyrics:
na main sindhi, na main marathi, na main hoon gujarati na to hai ek bhasha meri, na meri ek jaati aaa aaa ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala (2) ab tum khud hi faisla kar lo, main kiss zube wala ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala ab tum khud hi faisla kar lo, main kiss zube wala ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala jiss dharti ka main beta hoon uss ke mausam chaar (2) garmi sardi patjhad aur ableli ritu bahaar jahaan savera jahaan savera gaata aaye raat bajhaaye sitaar, raat bajhaaye sitaar ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala ab tum khud hi faisla kar lo, main kiss zube wala ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala main woh panchhi jiss ki nisdin laakhon kos udaan (2) uttar dakkhin purab paschim goonje meri taan ek shaal hai ek shaal hai mera jiss ka naam hai hindustan, naam hai hindustan ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala ab tum khud hi faisla kar lo, main kiss zube wala ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala bangla praant mein jaau to main karoon kalaa se preet aaaa bangla praant mein jaau to main karoon kalaa se preet jab aau punjab to bhangde ka ban jaau meet dakkhin jaa kar dakkhan jaa kar seekha maine karnaatak sangeet, karnaatak sangeet ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala ab tum khud hi faisla kar lo, main kiss zube wala ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala main madrasi main gujarati main ek rajasthani (2) bada puraana ek marathi naya naya haryani main kuch bhi hoon main kuch bhi hoon lekin sab se pehle hindustani, pehle hindustani ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala ab tum khud hi faisla kar lo, main kiss zube wala ganga meri maa ka naam, baap ka naam himala
This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Ganga Meri from the Bollywood movie TUMSE ACHHA KAUN HAI. We tried to make Ganga Meri Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Ganga Meri Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.