The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
Har taraf ab yahi afsaane hain Ham teri aankho ke diwaane hain Har taraf ab yahi afsaane hain… Itni sachchaai hai in aankho mein Khote sikke bhi khare ho jaaye Tu kabhi pyaar se dekhe jo udhar Sukhe jangal bhi hare ho jaaye Baag ban jaaye, baag ban jaaye jo viraane hain Ham teri aankho ke diwaane hain Har taraf ab yahi afsaane hain… Ek halka sa ishaara inka Kabhi dil aur kabhi jaan lootega Kis tarha pyaas bujhegi uski Kis tarha uska nasha tootega Jiski qismat mein, jiski qismat mein ye paimaane hain Ham teri aankho ke diwaane hain Har taraf ab yahi afsaane hain… Neechi nazro mein hain kitna jaadu Ho gaye pal mein kayi khwaab jawaan Kabhi uthhne kabhi jhukne ki adaa Le chali jaane kidhar jaane kaha Raaste pyaar ke, raaste pyaar ke anjaane hain Ham teri aankho ke diwaane hain -2 Har taraf ab yahi afsaane hain…