Hindi Song Lyrics of Is mod se jaate hain

AANDHI Movie Songs Lyrics
Is mod se jaate hain Lyrics
Hindi Song Title: Is mod se jaate hain : AANDHI
Singer(s): LATA MANGESHKAR, KISHORE KUMAR
Cast(s): Sanjeev Kumar , Suchitra Sen , Raakhi



Hindi Lyrics:
Is Mod Se Jaate Hain - (2)
Kuchh Sust Qadam Raste Kuchh Tez Qadam Raahe - (2) 
Patthar Ki Haveli Ko Shishe Ke Gharaundo Mein
Tinko Ke Nasheman Tak Is Mod Se Jaate Hain 
Aa…Is Mod Se Jaate Hain 

[ Is Mod Se Jaate Hain Song Lyrics @ http://www.hindilyrix.com ]

Aandhi Ki Tarha Ud Kar Ik Raah Guzarti Hai - (2)
Sharmaati Huwi Koyi Qadmo Se Utarti Hai
In Reshmi Raaho Mein Ik Raah To Woh Hogi
Tum Tak Jo Pahonchti Hai Is Mod Se Jaati Hai
Is Mod Se Jaate Hain 

Ik Door Se Aati Hai Paas Aake Palat-Ti Hai - (2)
Ik Raah Akeli Si Ruktii Hai Na Chalti Hai 
Ye Soch Ke Baithhi Hu Ik Raah To Woh Hogi
Tum Tak Jo Pahonchti Hai Is Mod Se Jaati Hai
Is Mod Se Jaate Hain - (2)
Kuchh Sust Qadam Raste Kuchh Tez Qadam Raahe 
Patthar Ki Haveli Ko Shishe Ke Gharaundo Mein
Tinko Ke Nasheman Tak Is Mod Se Jaate Hain 
Aa…Is Mod Se Jaate Hain

[ Is Mod Se Jaate Hain Song Lyrics @ http://www.hindilyrix.com ]

This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Is mod se jaate hain from the Bollywood movie AANDHI. We tried to make Is mod se jaate hain Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Is mod se jaate hain Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.

Advertise on Hindi Lyrix.com