The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
Jab bhi yeh dil udaas hota hai Jaane kaun aas paas hota hai Hont chup chaap bolte ho jab Saans kuch tez tez chalti ho aankhen jab de rahi ho awaazein thandi aanhon mein saans jalti ho thandi aanhon mein saans jalti ho.. Jab bhi yeh dil udaas hota hai jaane kaun aas paas hota hai Aankh mein tairti hain tasveerein tera chehra tera khayal liye aaine dekhta hai jab mujhko ek masoom sa sawaal liye ek masoom sa sawaal liye Jab bhi yeh dil udaas hota hai jaane kaun aas paas hota hai.. Koyi vaada nahi kiya lekin kyon tera intezaar rehta hai bewajeh jab qarar mil jaaye dil bada beqarar rehta hai dil bada beqarar rehta haii Jab bhi yeh dil udaas hota hai jaane kaun aas paas hota hai...