Browse Lyrics by Movie Title


Hindi Song Lyrics of Jab Zeero Diya Mere Bharat Ne

PURAB AUR PACHHIM Movie Songs Lyrics
Jab Zeero Diya Mere Bharat Ne Lyrics
Hindi Song Title: Jab Zeero Diya Mere Bharat Ne : PURAB AUR PACHHIM
Singer(s): MAHENDRA KAPOOR



Hindi Lyrics:
jab ziro diyaa mere bhaarat ne, duniyaan ko tab ginatee aayee
taaron kee bhaashaa bhaarat ne, duniyaan ko pahale sikhalaayee
detaa naa dashamal bhaarat to, yoo chaand pe jaanaa mushkil thaa
dharaatee aaur chaand dooree kaa andaajaa lagaanaa mushkil thaa
sabhyataa jahaa pahaale  aayee, pahale janamee  hain jahaape kalaa
apanaa bhaarat wo bhaarat hai, jis ke pichhe sansaar chalaa
sansaar chalaa aaur aage badhaa, yoo aage badhaa, badhataa hee gayaa
bhagawaan kare ye aaur badhe, badhataa hee rahe aaur foole fale

hai pareet jahaa kee reet sadaa, main geet wahaa ke gaataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo

kaale gore kaa bhed nahee, har dil se humaaraa naataa hai
kuchh aaur naa aataa ho hum ko, humei pyaar nibhaanaa aataa hai
jise maan chookee saaree duniyaa, main baat wahee doharataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo

jeete ho kisee ne desh to kyaa, hum ne to dilon ko jeetaa hai
jahaa raam abhee tak hain nar me, naaree mein abhee tak seetaa hai
kitane paawan hain log jahaa, main neet neet sheesh zookaataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo

itanee mamataa nadiyon ko bhee, jahaa maataa kah ke bulaate hai
itanaa aadar insaan to kyaa, patthar bhee pooje jaate hai
us dharatee pe maine janam liyaa, ye soch ke main itaraataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo

This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Jab Zeero Diya Mere Bharat Ne from the Bollywood movie PURAB AUR PACHHIM. We tried to make Jab Zeero Diya Mere Bharat Ne Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Jab Zeero Diya Mere Bharat Ne Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.

Advertise on Hindi Lyrix.com