Hindi Song Lyrics of Jahan Daal Daal Par Sone

SIKANDAR-E-AZAM Movie Songs Lyrics
Jahan Daal Daal Par Sone Lyrics
Hindi Song Title: Jahan Daal Daal Par Sone : SIKANDAR-E-AZAM
Singer(s): MOHAMMAD RAFI



Hindi Lyrics:
Guru r brahm guru r vishnu
gurudev maheshwara
guru sakshat parabrahm
tatsmaye shri gyruve namah

jahaan Daal-Daal par
sone kii chidiyaa karati hai baseraa
vo bhaarat desh hai meraa

jahaan satya, ahinsaa aur dharm kaa
pag-pag lagataa Deraa
vo bhaarat desh hai meraa

ye dharati vo jahaan rishi muni
japate prabhu naam ki maalaa
jahaan har baalak ek mohan hai
aur raadhaa har ek baalaa
jahaan suraj sabase pahale aa kar 
Daale apanaa pheraa
vo bhaarat desh hai meraa

alabelon ki is dharati ke
tyohaar bhi hai alabele
kahin deevaali ki jagamag hai
kahin hain holi ke mele
jahaan raag rang aur hansii khushi kaa
chaaro aur hai gheraa
vo bhaarat desh hai meraa

jahaan aasamaan se baate karate
mandir aur shivaale
jahaan kisi nagar me kisi dwaar par
koi na taalaa Daale
prem ki bansi jahaan bajaataa 
hai ye shaam saveraa
vo bhaarat desh hai meraa

This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Jahan Daal Daal Par Sone from the Bollywood movie SIKANDAR-E-AZAM. We tried to make Jahan Daal Daal Par Sone Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Jahan Daal Daal Par Sone Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.

Advertise on Hindi Lyrix.com