The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
kaun kisako yahaa bhalaa samajaa humane kyaa samajaa tumane kyaa samajaa bewafaa humane tumako samajaa sanam tumane humakohi bewafaa samajaa (jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo - 2 dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo) - 2 meri aankhon mein jo achhe nahi lagate aansu - 2 to jalaayaa naa karo mujhako sataayaa naa karo - 2 dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo tum kisi aur ki kismat mein ho tum mere nahi - 2 ye agar sach bhi hai to mujhako bataayaa naa karo - 2 dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo yaa to taawir bataayo mere sab khwaabo ki - 2 yaa koi khwaab in aankhon ko dikhaayaa naa karo - 2 dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo abhi aaye ho abhi baithe abhi jaate ho - 2 sirf ek rasm nibhaane ko to aayaa naa karo - 2 dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo