![]() #1 site for Hindi Lyrics & Bollywood Entertainment |
||
|
|
Hindi Lyrics: Hariharan: Kitni baatein yaad aati hai Tasveerein si ban jaati hain Main kaise inhein bhooloon Dil ko kya samjhaaun Sadhana: Kitni baatein kehne ki hai Honton par jo sehmi si hai Ik roz inhein sun lo Kyun aise gum-sum ho Hariharan: Kyun poori ho na paayi daastaan Sadhana: Kaise aayi hai aisi dooriyaan Hariharan: Dono ke dilon mein chhupa hai Jo ik anjaana sa gham Kya ho paayega woh kam Koyi kya kahe Sadhana: Dono ne kabhi zindagi ke Ik mod pe bhi jo paayi Hai kaisi woh tanhaai Koyi kya kahe Hariharan: Kitna viraan hai ye sama Sadhana: Saanson mein jaise ghulta hai dhuwaan Kaisi aayi hai aisi dooriyaan Hariharan: Kitni baatein yaad aati hai Tasveerein si ban jaati hain Main kaise inhein bhooloon Sadhana: Tumse aaj yun milke dil ko Yaad aaye lamhein kal ke Ye aansoon kyun hai chhalke Ab kya kahen Hariharan: Tumne hamko dekha jo aise Toh ik umeed hai jaagi Phir tumse pyaar paane ki Ab kya kahen Sadhana: Aa gaye ham kahaan se kahaan Hariharan: Dekhe mudke ye dil ka kaarvaan Kaisi aayi hai aisi dooriyaan Sadhana: Kitni baatein kehne ki hai Honton par jo sehmi si hai Ik roz inhein sunlo Kyun aise gum-sum ho Hariharan: Kitni baatein yaad aati hai Tasveerein si ban jaati hain Main kaise inhein bhooloon Dil ko kya samjhaaun This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Kitni Baatein from the Bollywood movie LAKSHYA. We tried to make Kitni Baatein Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Kitni Baatein Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.
| ||||||||||||||||