Browse Lyrics by Movie Title


Hindi Song Lyrics of Main Yahaan Tu Vahaan

BAGHBAN Movie Songs Lyrics
Main Yahaan Tu Vahaan Lyrics
Hindi Song Title: Main Yahaan Tu Vahaan : BAGHBAN
Singer(s): AMITABH AND ALKA YAGNIK



Hindi Lyrics:
Main Yahaan Tu Vahaan Zindagi Hai Kahaan
Main Yahaan Tu Vahaan Zindagi Hai Kahaan
Main Yahaan Tu Vahaan Zindagi Hai Kahaan
Tu Hi Tu Hai Sanam Dekhtaa Hoon Jahaan
Neend Aati Nahin Yaad Jaati Nahin
Neend Aati Nahin Yaad Jaati Nahin
Bin Tere Ab Jiyaa Jaaye Na
Main Yahaan Tu Vahaan Zindagi Hai Kahaan

Vaqt Jaise Thahar Gayaa Hai Yahin, Har Taraf Ek Ajab Udaasi Hai
Beqaraari Kaa Aisaa Aalam Hai Jism Tanhaa Hai Rooh Pyaasi Hai

Teri Soorat Ab Ek Pal Kyun Nazar Se Hatati Nahin
Raat Din To Kat Jaate Hain Umr Tanhaa Katati Nahin
Chaah Ke Bhi Na Kuchh Kah Sakoon Tujhse Main
Chaah Ke Bhi Na Kuchh Kah Sakoon Tujhse Main
Dard Kaise Karoon Main Bayaan
Main Yahaan Tu Vahaan Zindagi Hai Kahaan

Jab Kahin Bhi Aahat Huee Yun Lagaa Ke Tu Aa Gayaa
Khushboo Ke Jhonke Ki Tarah Meri Saansein Mahkaa Gayaa
Ek Vo Daur Thaa Ham Sadaa Paas The
Ek Vo Daur Thaa Ham Sadaa Paas The
Ab To Hain Faasle Darmiyaan
Main Yahaan Tu Vahaan Zindagi Hai Kahaan
Hun Hun Hun

Beeti Baatein Yaad Aati Hain Jab Akelaa Hotaa Hoon Main
Bolti Hain Khaamoshiyaan Sabse Chhupke Rotaa Hoon Main
Ek Arsaa Huaa Muskuraaye Huey
Ek Arsaa Huaa Muskuraaye Huey
Aansuon Mein Dhali Daastaan
Main Yahaan Tu Vahaan Zindagi Hai Kahaan
Tu Hi Tu Hai Sanam Dekhtaa Hoon Jahaan
Neend Aati Nahin Yaad Jaati Nahin
Neend Aati Nahin Yaad Jaati Nahin 
Bin Tere Ab Jiyaa Jaaye Na

This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Main Yahaan Tu Vahaan from the Bollywood movie BAGHBAN. We tried to make Main Yahaan Tu Vahaan Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Main Yahaan Tu Vahaan Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.

Advertise on Hindi Lyrix.com