Hindi Song Lyrics of Mere Laal
AAVISHKAAR Movie Songs LyricsMere Laal Lyrics Hindi Song Title: Mere Laal : AAVISHKAAR
Singer(s): MANNA DE
Hindi Lyrics:
maa ko pukarkar pucha bachhe ne aaya kahaan se ho maa bolo to pada kahaan paaya gaya bolo to sunkar sawal yeh maa ke stanon se uphal pada doodh aur bah aaya aankhon se uttar mere laal tum to hamesha the mere man ki abhilaasha me mere tan ki paribhaasha me bachapan ke gudiyaaghar me kitni baar tujhe khelate-khelate toda todate-todate joda paakar khoya aur khokar paaya hai kahaan se bataau tu aaya hai pada tujhe maine kahaan paaya hai mere laal (mila tha man ko mere jab ik tan upja tha tu hi ik madhur chhand ban)- 2 aye gaat-gaat ang ang mehka tha chhan chananan os bhari subah se suhaag ke sangeet se sab ki manuhaar se indradhanushi sapnon sa aaya hai kahaan se bataau tu aaya hai pada tujhe maine kahaan paaya hai mere laal tu haan tu hi to hai meri amar aasha subah ka sapna maan aur daadi ki sunahari khwahish prem ki parampara khwab ki khwahish aur prem ki asha se bani teri kaya hai kahaan se bataau tu aaya hai pada tujhe maine kahaan paaya hai mere laal
This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Mere Laal from the Bollywood movie AAVISHKAAR. We tried to make Mere Laal Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Mere Laal Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.