The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
--MALE 1-- Aa, ga re ni sa, re ni sa, re ni sa Ga re ni sa re ni sa ga re pa sa - 2 Ma ma ma pa pa ni pa ga ma re sa, aa --FEMALE-- (Pyaare se rang bharta hai, koi jaadu sa yeh karta hai Har dil mein yeh rehta hai) - 2 Kabhi na kabhi, kahin na kahin, kisi na kisi se Har dil ko hai ho jaata, pyaar kiya nahin jaata Pyaar kiya nahin jaata, pyaar kiya nahin jaata --CHORUS-- Pyaar kiya nahin jaata --MALE 2-- Aankhon hi aankhon mein Baaton hi baaton mein dil jab kho jaaye Bechaini badh jaaye, kuch kaha na jaaye Hota jaaye haai dil deewana, deewana --FEMALE-- Dhak dhak karta hai dil hardam aahein bharta hai Kaise kya kahoon darr sa lagta hai Madhoshi ka aalam dil pe chhaaya rehta hai Jaane dil kahan dooba rehta hai --MALE 2-- Kaise jataaye Kaise jataaye dilon ki jazbaat Pyaare se rang bharta hai --FEMALE-- Koi jaadu sa yeh karta hai --MALE 2-- Har dil mein yeh rehta hai --BOTH-- Kabhi na kabhi, kahin na kahin, kisi na kisi se Har dil ko hai ho jaata, pyaar kiya nahin jaata --CHORUS-- Pyaar kiya nahin jaata --FEMALE-- Meethi si ek chubhan Jaagi si ek agar saanson ko chhoo jaaye Tanhaai chhaa jaaye, jaane kya ho jaaye Chori chori koi dil churaaye, churaaye --MALE 2-- Chaahat badhti jaaye, badhta jaaye intezaar Milne ke liye dil ho beqaraar Maano ya na maano aisa hota hai yeh pyaar Thodi beqaraari thoda deta hai qaraar --FEMALE-- Jaano na jaano Jaano na jaano yeh kaise hai ehsaas --BOTH-- Pyaare se rang bharta hai, koi jaadu sa yeh karta hai Har dil mein yeh rehta hai Kabhi na kabhi, kahin na kahin, kisi na kisi se Har dil ko hai ho jaata, pyaar kiya nahin jaata --FEMALE-- Pyaar kiya nahin jaata --MALE 2-- Pyaar kiya nahin jaata --FEMALE-- Pyaar kiya nahin jaata --MALE 2-- Pyaar kiya nahin jaata --ALL-- Pyaar kiya nahin jaata