The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
|
MUGHAL-E-AZAM Movie Songs Lyrics Pyaar Kiya To Darna Lyrics Hindi Song Title: Pyaar Kiya To Darna : MUGHAL-E-AZAM Singer(s): LATA MANGESHKAR Hindi Lyrics: (Lata Mangeshkar) Insaan kisee se duniyaan me Yek baar mohabbat karataa hai Is dard ko lekar jiitaa hai Is dard ko lekar marataa hai Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Pyaar kiyaa koi chori nahin ki Pyaar kiyaa Pyaar kiyaa koi chori nahin ki Chhuup chhuup aahe bharnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Aaj kahenge dil kaa fasaanaa Jaan bhee le le chaahe zamaanaa Aaj kahenge dil kaa fasaanaa Jaan bhee le le chaahe zamaanaa Maut wahii jo duniyaan dekhe Maut wahii jo duniyaan dekhe Ghunt ghunt kar yu marnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Unki tamannaa dil mein rahegii Shammaa ise mahafil mein rahegii Unki tamannaa dil mein rahegi Shammaa ise mahafil mein rahegi Ishq mein jiinaa ishq mein marnaa Ishq mein jiinaa ishq mein marnaa Aaur humei ab karnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Chhuup naa sakegaa ishq hamaaraa Chaaro taraf hain unkaa nazaaraa (Choeurs) Aaaaaaaaaaaaaahaaaaaaaaaaaaaaa Chhuup naa sakegaa ishq hamaaraa Chaaro taraf hain unkaa nazaaraa (Lata Mangeshkar) Pardaa nahin jab koi khudaa se Pardaa nahin jab koi khudaa se Bando se pardaa karnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa (Choeurs) Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa (Lata Mangeshkar) Pyaar kiyaa koi chori nahin ki Chhuup chhuup aahe bharnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Contributed by: Tarik E.A. This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Pyaar Kiya To Darna from the Bollywood movie MUGHAL-E-AZAM. We tried to make Pyaar Kiya To Darna Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Pyaar Kiya To Darna Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD. |