The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
su : taaron ki thandi chhainya ham-tum mile o saiyaan yaad rahe o saiyaan yaad rahe mu : bheegii-bhiigi meethi ratiyaan pyaaree-pyaari batiyaan sajani yaad rahe o sajani yaad rahe su : peehoo-piihu bole kaheen door se papeehara ji door se papeehara piyaa-piya bole mora matavaara jiyara kaliyon pe bhanvara dole haule-haule saiyaan yaad rahe ... mu : laten ghungharaali kaali goraa-gora roop hai jo goraa-gora roop hai kaisa ye jaadu dekha chhaanv mein ghoop hai ghoonghat mein chhup ke jhaanke nain tore baanke sajani yaad rahe ... su : laharon pe chham-chham naache chanda ki chandaniya ban-than ke aai dekho raat ki dulhaniya taaron ki baaraat aai baaje shahanaaiyaan saiyaan yaad rahe ...