The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
--MALE-- Thaath nawaabi, baat nawaabi Waah teri kya baat hai, hoye, hoye, hoye, hoye Thaath nawaabi, baat nawaabi Waah teri kya baat hai Chunnu ki mummy, Raju ki maami Waah teri kya baat hai Hey, rootho nahin aise yaar humse Karo kuch pyaar vyaar humse Dil deewane ka todo na Kisko padhaaogi chehraa kitaabi Thaath nawaabi, baat nawaabi Waah teri kya baat hai Chunnu ki mummy, Raju ki maami Waah teri kya baat hai Oh jaane jaana, maine yeh maana Der se aana mera rog hai puraana --FEMALE-- Dekho ji peeche bilkul na aana Main na maanoongi na na nahin nahin na na --MALE-- Maan jaao na jaaneman Sab tumhaara hai tan mann dhan Bin tumhaare hai kya mera Muqaddar ke taale ki tum hi ho chaabi Thaath nawaabi, baat nawaabi Waah teri kya baat hai --FEMALE-- Oye, hoye, hoye, hoye, hoye Thaath nawaabi, baat nawaabi Waah teri kya baat hai --MALE-- Ho, tumse mohabbat kitni hai humko Yeh jaanta hai saara zamaana --FEMALE-- Haan, mujhko bataao, main na rahi to Kya karoge yeh saara zamaana --MALE-- Main yeh maanta hoon dilbar Chot tumko di hai dil par Maafi maang loonga ghar par Raste pe tu na karo yeh kharaabi --FEMALE-- Sau baatein karna, aur ek nibhaana Theek hi to hai mera rooth jaana --MALE-- Maana tadapti ho, par sab samajhti ho Kitni mahaan ho tum jaane jaana --FEMALE-- Chhodo chhodo chhodo naatak Yun sataaoge tum kab tak --MALE-- Maan jaaogi na jab tak Dekho to mausam hai kitna gulaabi Thaath nawaabi, baat nawaabi Waah teri kya baat hai --FEMALE-- Haaye, haaye, haaye, haaye, haaye Thaath nawaabi, baat nawaabi Waah teri kya baat hai --MALE-- Haaye, Chunnu ki mummy, Raju ki maami Waah teri kya baat hai Hey, rootho nahin aise yaar humse Karo kuch pyaar vyaar humse Dil deewane ka todo na Kisko padhaaogi chehraa kitaabi