The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
yaaron ko jaan hai pyaari kaun kare mujhse yaari main hoon shola main chingaari pyaar ki baazi main na haari mujhse haare kitne juaari jo ye pukaare praan pyaari loot ke uski duniya saari ban jaaun anjaani main hu roop ki raani yaaron ko jaan hai ... main apsara main hoon pari meri ada jaadoogari jo diljale mujhko mile vo bechaare phirte maare pyaar mein apna tan man haare ginate hain vo raat mein taare unse kahu main sun le pyaare in kadamon mein dil rakhna ye maangu main nishaani main hoon roop ki raani yaaron ko jaan hai ... koi na koi to aayega jo mere dil ko bhaayega kabhi na kabhi kahi na kahi dheere dheere haule haule dil mera le lega pyaar mujhe de dega usaki banoongi deewaani main hoon roop ki raani yaaron ko jaan hai ...