Hindi Song Lyrics of Ye haseen vaadiyaan

ROJA Movie Songs Lyrics
Ye haseen vaadiyaan Lyrics
Hindi Song Title: Ye haseen vaadiyaan : ROJA
Singer(s): S.P.BALASUBRAMANIAM & CHORUS



Hindi Lyrics:
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi

Tere honthon pe hain husn ki bijliyaan
Tere gaalon pe hain zulf ki badliyaan
Tere baalon ki khushboo se mehke chaman
Sangmarmar ke jaisa ye tera badan

Meri jaanejaan ye hai teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna

Ye bandhan hai pyaar ka dekho toote na sajni
Ye janmon ka saath hai dekho chhoote na sajna
Tere aanchal ki chhaaon ke tale meri manzil mujhe mil gayi
Teri palkhon ki chaaon ke tale mohaabat mujhe mil gayi

Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna

Jee karta hai saajna dil mein tumko bitha loon
Aa masti ki raat mein apna tumko bana loon
Uthne lage hain toofan kya meer seene mein ay sanam
Tumhein chaahoonga dilon jaan se meri jaanejaan teri kasam

Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
 
Meri jaanejaan ye hai teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna

This Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Ye haseen vaadiyaan from the Bollywood movie ROJA. We tried to make Ye haseen vaadiyaan Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Ye haseen vaadiyaan Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.

Advertise on Hindi Lyrix.com