The Web's #1 Hindi Lyrics Web Site
Browse Lyrics by Title
--MALE 1-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron - 2 Kho raha chain-o-aman --CHORUS-- Kho raha chain-o-aman --MALE 1-- Haan, mushkilon mein hai watan --CHORUS-- Mushkilon mein hai watan --MALE 1-- Sarfaroshi ki shama dil mein jala lo yaaron --MALE 2-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron --CHORUS-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron --MALE 2-- Kho raha chain-o-aman --CHORUS-- Kho raha chain-o-aman --MALE 2-- Haan, mushkilon mein hai watan --CHORUS-- Mushkilon mein hai watan --MALE 2-- Sarfaroshi ki shama dil mein jala lo yaaron yaaron yaaron --CHORUS-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron --MALE 1-- Ek taraf pyaar hai chaahat hai vafaadaari hai Ek taraf desh mein, desh mein Ek taraf desh mein dhoka hai gaddaari hai Bastiya sehmi hui sehma chaman saara hai Gham mein kyoon dooba hua aaj sab nazaara hai Aag paani ki jaga ab jo barsaayenge Lehlaate hue sab khet jhulas jaayenge jaayenge jaayenge Kho raha chain-o-aman --CHORUS-- Kho raha chain-o-aman --MALE 2-- Haan, mushkilon mein hai watan --CHORUS-- Mushkilon mein hai watan --MALE 2-- Sarfaroshi ki shama dil mein jala lo yaaron Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron --CHORUS-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron --MALE 1-- Haan, kho raha chain-o-aman --CHORUS-- Kho raha chain-o-aman --MALE 1-- Haan, mushkilon mein hai watan --CHORUS-- Mushkilon mein hai watan --MALE 1-- Sarfaroshi ki shama dil mein jala lo yaaron --CHORUS-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron --MALE 2-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron Chand sikkon ke liye tum na karo kaam bura --CHORUS-- Na karo kaam bura, na karo kaam bura --MALE 2-- Na karo kaam bura --CHORUS-- Na karo kaam bura --MALE 2-- Har buraayi ka sada hota hai anjaam bura --CHORUS-- Har buraayi ka hota hai bas anjaam bura anjaam bura --MALE 2-- Anjaam bura anjaam bura --CHORUS-- Anjaam bura anjaam bura --MALE 2-- Jurm waalon ki kahan umr badi hai yaaron Inki raahon mein sada maut khadi hai yaaron Zulm karne se sada zulm hi haazil hoga Jo na sach baat kahe voh koi buzdil hoga Sarfaroshon ne lahoon deke jisse seencha hai Aise gulshan ko ujadne se bacha lo yaaron --CHORUS-- Sarfaroshi ki shama dil mein jala lo yaaron yaaron yaaron --MALE 1 + 2-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron --CHORUS-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron --MALE 1 + 2-- Kho raha chain-o-aman --CHORUS-- Kho raha chain-o-aman --MALE 1 + 2-- Mushkilon mein hai watan --CHORUS-- Mushkilon mein hai watan --MALE 1 + 2-- Sarfaroshi ki shama dil mein jala lo yaaron --CHORUS-- Zindagi maut na ban jaaye, sambhaalo yaaron - 4 --MALE 1 + 2-- (Aah, aah, aah...)